Eggs qudrat ka sar band aisa fast food hain jin ki tiyari mein sirf 3-4 minute sarf hote hain lekin in ki ghizayi khoobyan be shumar faide hain buhat kam cheezen apni ghizayi afadyut mein andon ka moqabla kar sakti hain. Andon mein tawanayi ka zakhira poshida hota hai kiun keh is mein taqreeban tamam wo ghizayi ajza paye jate hain jo insani jism ke liye zaroori hain.
Egg Benefits in Urdu
- Anday (Eggs) ki zardi aur sufaidi dono hi besh qimat ghizayi ajza ka majmooa hoti hain, is mein mojood vitamin A aankhon ke liye zaroori hota hai yeh nazar ko kamzor hone se bachata hai aur basarat ko taqweeyat deta hai
- Is ke elawa anday mein mojood vitamin D haddiyon aur danton ki nasho numa mein ahum kirdar ada karta hai is liye barhte huye bahcon ki ghiza mein andah zaroor shamil karna chahiye kiun keh yeh rickets aur osteoporosis jaisi bimaaryon se bhi bachata hai.
- Andon mein mojood vitamin B12 dil ko taqweyat deta hai aur khoon garha hone se rokta hai pehle yeh samjha jata tha keh anday cholesterol barhte hain magar jaded tehqeeq ne yeh sabit kia hai keh andon mein omega 3 mojood hota hai jo cholesterol se paida hone wali dil ki takaleef ko rokne mein mawin sabit hota hai.
- Anday ki sufaidi calcium hasil karne ka behtareen zariiyah hai.
- Andon ki protein dimagh aur pathon ko taqwiyat deti hai is liye hamlah khawateen ko bhi doctor anday ke istemaal ka mashwara dete hain takeh bache ko tamam zaroori ghizayi ijza farahum hon.
- Anday mein mojood zinc jism ki quwat madafyat barhata hai aur bimaaryon ke khelaf tahaffuz farahum karta hai.
- Is mein mojood vitamin E behtareen Anti oxidant hai aur mukhtalif aqsaam ke cancer se jism ko bachata hai.
- Is mein mojood selenium baalon ki nasho numa karta hai.
- Anday ka baaqaida istemaal umer barhne ke sath janam lene wali buhat si bimaariyon se bachata hai.
Gharz insani jism mein quwat e hayat, jismani taqat aur zehni taqat ki tamer mein anda nehayat ahum kirdar ada karta hai. Yeh garam joshi aur tawanayi ki takhliq karta hai is liye apni roz marrah ki khoorak mein anday ko zaroor shamil rakhein kiun keh yeh aap ki jismani sehat ke liye bahut zaroori hai magar aik din mein sirf aik andah khayein to behtar hai kiun keh yeh khoon mein garmi aur hiddat bhi paida karta hai aur anday ka ziadah istemaal blood pressure jaise masail ko janam de sakta hai magar aik anda roz khana mufeed hai. Aap anday ko kisi bhi surat mein khayein is ki afadyat mein kami nahi aati. Aaj kal anday khas qisam ki vaccine ki taiyari mein bhi istemaal hote hain.
Benefita of Eggs
Eggs For Breast Cancer :
Egg ki yolk mein maujood Colene naami ansar khawateen (women) mein breast cancer ke imkanaat ko kam karne mein madad deta hai. 2008 mein shaey hone wali aik report ke mutabiq wo khawateen (women) jo aik hafte (one week) mein taqriban 6 eggs khati hain, un Khawateen (women) mein cancer ke imkanaat 44 % kam paye gaye. Jism mein Colene ki maujodgi blood vessels ki bemari ke khilaf aur Alzheimer’s mein bhi mufeed paai gai hai. Egg yolk mein maujood Leutin aur Zeaxanthi 2 aise anti oxidant hain jo ke basarat aur aankhon ki sehat ke liye bohat faiydemand samjhe jate hain. Leutin ki wajah se cataracts motia ke khilaf madafat paida hoti hai.
Eggs Benefits For Weight Loss:
Weight kam karne ke khuwahish mand hazraat ki madad egg bhi kar sakte hain. Bio medical research centre Loziana America ki aik research ke mutabiq 2 eggs daily nashte mein khana taqriban 65 % ziyada tezi se weight kam karne mein muaawin sabit hota hai. Kyun ke egg mein maujood ala qisam ke protein khane wale ko timaniyat bakhshti hain aur dair se hazam hone ki wajah se aap gher zarori chezen kha kar zaiyd hararon se bach sakte hain. Egg mein maujood protein taqriban 8 qisam ke amino acid ki wajah se ziyada sehat bakhsh bhi hoti hain. Kyun ke wo bohat aasani se juzo badan banti hain.
Eggs Benefits Of Eating :
Egg mein aik nihayat he mufeed ghizaai juz DHA paya jata hai aur omega 3 group se talluq rakhta hai. Omega 3 aur is ke fawaiyd par hone wali research ke mutabiq yeh juz insane sehat ke liye intehai zarori hai. Lekin insane jism ke andar az khud peyda nahi hota. Omega 3 ki zarorat fresh water ki fish egg aur baaz plants maslan canola aur soya bean waghera se pori ki ja sakti hai. Omega 3 DHA ke deegar fawaiyd darj zeyl hain. DHA omega 3 blood vessels mein lachak peyda kar ke dauran e khoon ke blood ko behtar batata hai. Jis se stroke aur blood thick hone ke khatraat se bacha sakta hai.
Benefits Of Omega3 Eggs:
Egg mein Omega 3 cholesterol level ko mamool ki satah par rakhne mein madad deta hai aur blood pressure ko control rakhta hai.
Eggs Benefits For Body:
Eggs qabal az waqt paidaiysh se rokta aur aankhon aur dimagh ke banne ke amal ko taqwiyat deta hai. Egg mein maujood aala paye jane ke ghizaai ajzaa aur vitamins insani jild (Skin) ki khobsurti (beauty) ko qaiym rakhne mein madad dete hain. Is ke ilawa is mein maujood protein exercise ke baad juzoo badan ho kar azlaat ko mazboti bakhshte hain. Exercise karne ke forum baad sakht boil (egg ) Ande khane se jism (body) mein protein ki fori zarorat ko ba ahsan pora karte hain.
Eggs Benefit for Beauty inUrdu:
Anday husn aur jild ki hifazat ke liye andon ki zardi aur sufaidi dono hi istemaal ki jati hain sufaidi jild ke tanao aur jhurriyon ko door karne ke liye istemaal ki jait hai is ke elawah baalon ki sehat aur tawanayi ke liye bhi andon ka istemaal buhat aam hai.
Bahut se shampoo aise hain jin mein anday istemaal kiye jate hain. Isi tarah Bahut se lotion aur cream mein bhi anday ke ijza ko shamil kia jata hai. Anday baalon se khushki door karte hain aur inhein tamam zaroori ghizayi ijza farahum kar ke girne se rokne ke sath sath inhein lamba aur Ghana bhi banate hain.
Aankho ke Black Circle aur Sujan:
Anday ki sufaidi sooji aur thaki huyi aankhon ke liye bhi behtareen hai yeh halqon ki siyahi ko kam karte hain. Khasoosan jab aap ne kisi taqreeb mein jana ho to aik anday ki sufaidi pheint kar aankhon ke gird halqon par lga lein aur 15-20 baad minute munh dho kar make up karein to aap ki aanhon par ronaq lagein gi.
Keel Mahason se Nijat ke Liye :
1 egg pheint lein aur ½ banana mash kar lein, in donon ko mix kar ke 20-15 minute tak chehre par laga lein.
Aik anda pheint lein, ½ khira kaddo kash karein, 1 tbsp olive oil, 1 sp lemon juice, yeh mask chehre par lagane se rungat nikhar ne lagti hai. chehre ke sath sath baalon par andah lagane ke bhi besh baha fawaid hain chahe aap sirf andah laga yein ya kisi aur cheez ke sath mila kar lagayein.
Balon ki Khushki ke Liye:
1 egg yalk, 1 tsp khane ka soda, 1 tbsp olive oil, in tamam cheezon ko mix kar ke achi tarah sar ki jild par masaj karein. Is se khushki door hoti hai. Is ke elawa 1 egg, 1 tbsp dahi, ½ tbsp olive oil, ½ tsp badam ka tel, khushki door karne ke liye yeh behtareen mask hai. Yeh na sirf khuhski door karta hai balkeh baalon ko lamba Ghana aur mazboot karta hai.
Lambe Ghane Balon ke liye:
Do andon ki zardi mein aik spoon castor oil mila kar sar mein masaj karein.
Do Muhe Hair ke Liye (splitends): Aik anday ki zardi, 1 tbsp coconut oil, 1 lemon juice donon mila kar baalon par lagayein. 20-30 minute baad sar dholein.
Sliky Balon ke Liye:
1 anda achi tarah pheint lein aur is mein aik adad lemon juice shamil kar ke achi tarah baalon par aur sar ki jild par masaj karein aur 15-20 minute baad dholein.
Be Ronak Balon ke Liye:
1 egg ki zardi, 1 tbsp mendi aur 1 tbsp dahi, yeh mask ½ ghante tak sar par lagayein. Is se baalon mein narmi, tazgi aur chamak aati hai.
Girte Balon ke Liye:
1 anda pheint lein, 2 adad khuchk aamle le kar pees kar powder bana lein, 1 tbsp olive oil, 1 tbsp badam ka tel, in tamam ashya ko mix kar ke hafte mein 2-3 bar sar ki jild aur baalon par masaj karein. Aahistah aahistah baal girna kam ho jayein gay.
Jild ki Chamak ke Liye:
1 egg yalk, 1 tbsp yogurt aur 1 tsp hunny yeh masak chehre par 15-20 minute tak lagayein yeh jild ko chamak aur tazgi ata karta hai.
Rungat Nikharne ke Liye :
1 tsp hunny, ½ tsp olive oil, 1 egg, 1 tsp arq e gulab in tamam ashya ko bland kar ke 20 minute tak chehre par lagayein. Khushk hone par mask dholein. Hafte mein do bar yeh mask lagane se rungat aahistah aahistah nikharne lagti hai.
Khule Masamon ke Liye:
Anday ki sufaidi khule masamon ke liye aik behtareen tones hai aik anday ki sufaidi achi tarah pheint kar chehre par lagayein khushk hone par neeem garam pani se dho lein.
Chikni jild: 1 egg white, 1 tbsp jayi ka aata in donon ko mix kar ke chehre par 15- 20 minute ke liye lagayein yeh mask jild se faltu chiknayi jazb kar ke jild ko keel mahason se bachata hai.
Khushk jild:
1 egg yalk, 1 lemon (ras nikal lein), 1 tbsp olive oil in ashya ko mix kar ke mask ki surat mein chehre par lagayein yeh mask jild ki khushki ko door karne ke liye behtareen hai.
Murdah Khalyon se Nijat:
1 anday ki sufaidi, 1sp shehad achi tarah pheint kar chehre par lagayein, yeh mask rung gora karne ke sath sath jild ko tazgi bakhsh kar murdah khalyat se jald nijat deta hai.
Anday ki zard aur sufaidi ke sath sath anday ka khol bhi mufeed hota hai kiun keh yeh calcium se bhar poor hota hai. Girte balon ke liye aik buhat purana desi noskhah aap andon ke chilke istemaal kar ke bana sakti hain.
10-12 adad egg ke chilke aap achi tarah saaf aur khushk kar ke pees lein ab 1 tbsp zirah, 1 tsp kali mirch aur 1 khusk aamlah bhi pees lein. Ab in charon ashya ko mila lein. Yeh powder 1 sp daily khane se girte baal chand hi dinon mein ruk jate hain. Is ke sath sath yeh morkkab joron ke dard se nijat deta hai aur (hadiyon ka bhur bhura pan) osteoporosis jaisi khtarnaak bimaaryon se bhi bachata hai.
Is ke elawa aik glass milk boil kar lein aur isi gram gram doodh mein aik adad kacha andah shamil kar ke chamcha hilati jayein tekeh andah kuch pak jaye aur is doodh ko garam garam hi chaye ki tarah ghont piyein. Yeh zabar dast tonic hai jo pathon, joron aur aasab ko be panah quwat bakhshta hai. Dimaghi kamzori bhi door karta hai. Baalon ko bhi girne se rokta hai aur rungat ko surkh o sufaid banata hai. Magar hassas tabyat ke logon ko kache anday ke istemaal se gureiz karna chahiye.